Saturday 11 May 2019

Quran1 Surah Fatiha Tarjuma Anuwad in Simple Roman Urdu Hindi

Surah 1: 

Al Faatiha (Shuruwat)

1. Ye Allah ke naam se shuru hota hai jo bohot meherbaan (dayawaan) aur reham wala (dayalu) hai.

2. Sab taarif Allah ke liye hai jo har ek kaainaat (bhrammand) ka palne wala hai.

3. Jo boht meherbaan (dayawaan) aur reham wala (dayalu) hai.

4. Jo mazhab (dharm) ke din ka badshah (samraat) hai.

5. Hum teri ibadat (puja) karte hai aur tujh se madad mangte hai.

6. Hume sidhe raste par banaaye rakh.

7. Un logo ka rasta jinko tune inaam diya, unka rasta nahi jinhone tujhe naaraz (krodhit) kiya aur unka rasta bhi nahi jo bhatak chuke hai.