Friday, 25 August 2017

Shia Islam ke Aqaaid aur Aamaal (Urdu)

Topic 45:

Deen ke Usul, Aqaaid, Buniyaad yaane Usul e Deen, ye taadaad me paanch hae:

In English

1) Tauhiid (Allah ko Ek maanna)
2) Adaalat (Allah ke tamaam nizaam ki buniyaad Adl ko maanna)
3) Nubuwat (Tamaam Nabiyou yaane Ambiyaa ko maanna)
4) Imaamat (Allah ke muqqarrar karda tamaam Imaamou yaane Aimmaah ko maanna)
5) Qayaamat (Qayaamat ke din ko haq maanna)

Deen ke Aamaal, Shaakhe yaane Furu e Deen, ye taadaad me das hae:

1) Salaat (Namaaz)
2) Sawm (Roza)
3) Zakaat (Gharibo ka hissa)
4) Khums (Paanchwa hisaa)
5) Hajj (Makka ka safar)
6) Jihaad (Jaddo-jehd)
7) Amr bil Maaruf (Nek aamaal ki daawat)
8) Nahi anil Munkar (Buure aamaal se ikhtelaaf)
9) Tawalla (Sayyedna Mohammed aur unke Ahle Bait se mohabbat/ muwaddat rakhna)
10) Tabarra (Sayyedna Mohammed ke dushmanou aur unke Ahle Bait ke dushmanou se duri aur bezaari rakhna)

Ae Allah! Sayyedna Mohammed aur unke Ahle Bait par Salaato Salaam.